Almadad maula raza
(Al Madad, Maula Raza) x2 (Maula Raza) x3
(Al Madad, Maula Raza) x4
Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x4Tu hai masiha e- jahaan, shaahe khurasaan hai laqab, yu har
farishta roz par, aataa hai tere ba adab, haaN rad nahi hoti tere, roze
pe koi bhi dua Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2Binaai bhi deta hai tu, goyaai bhi deta hai tu, maange agar tujse
koi, daanaai bhi deta hai tu, tu bhi to baabe ilm hai, tu bhi to hai
mushkil kushaa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2Hai zaamine aahu bhi tu, gul bhi hai tu khushbu bhi tu, hai ponchta
har aankh se, girte huwe aansu bhi tu, teri ataaye dekh kar, dushman ko
bhi kehnaa paraa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2Teri karaamaate nazar, shab ho ke ho waqte sahar, kehta hai har
zaair tera, roze ki jaali chum kar, mash-had muqaddas ho gaya, tune jo
aakar di azaan Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2Tere hi dastar-khaan par, hota hai jannat ka ghumaan, jinno mallak
lete hai sab, tere hi dar se rotiyaan, maula tera makruuz hai, har ik
gadaao baadshaa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2Roze se tere duur hai, ham to bohot majbuur hai, aankhon se aansu
hai rawaan, dil bhi ghamon se chur hai, tujse kahenge haale dil, izne
ziyarat kar ataa Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2Aal-e-azaa ke haal par, dukhta to hoga dil tera, ishke ghame shabbir
mei, maare gaye jo bekhata, hai munison yawar tu bhi, ibne shahide
karbala Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x2"Rehan" mujko hai yaqin, maula raza ki zaat se, ye nokri shabbir ki,
jaaegi ab na haath se, nauhe likhunga mei sada, dete rahenge wo silaa
Nana nabi dada ali dadi teri khairun nisaa (Al Madad, Maula Raza) x8